♥FUNREALITY FORUM♥
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Namaz Padh lou Essay Pahle kay hamari Namaz Padhai jaye??

Go down

Namaz Padh lou Essay Pahle kay hamari Namaz Padhai jaye?? Empty Namaz Padh lou Essay Pahle kay hamari Namaz Padhai jaye??

Post by knight_panther Sat May 10, 2008 2:00 pm

Kuch Namaz Kay Baarein Mein

Namaz Ke Khubio Aachio, Barkato, Rahmato aur Faido Kou Shumaar nahi Kya Jaa Sakhta Esiliye Seha Setta Say Hum Iqhtesar Kay Saath Eskay Kuch Muhasan Bayan Kerte Hain.

Hamarey Nabi Mohammed Rasoolullaha (P.B.U.H) Ney Farmate Hain.

Allaha Talha Ney Sub Chizo Say Pahele Meri Ummat Per Namaz Farz Ke Aur Qayamat Mey Sub Say Pahele Namaz ka Hi Hisab Hoga.

Jab Koi Aafat Aasmaan Say Utarti Hain Tou Wooh Masjid Kou Aabad Kerne Walo Say Hath Jaati Hai.

Allaha Ney Sajde Ke jagha Kou Aag Per Haram Ker Diya Hai.

Allaha Kou Aadmi Ke Saari Halato mey Sub Say Ziyada Yeh Pasand Hai Kay Esko Sajde mey Pada Huwa Dekhe kay peshani Zameen per ragad raha hai.

Zameen Kay Jiss Hissay Per Namaz Kay Zariye Allaha Ke Yaad Ke Jaati Hai Wooh Hissa Zameen Kay Dousre Hisso Per Faqar Kerta hai.

Sub Say Afzal Aamal Awwal Waqt Per Namaz Padhna Hai

Jab Aadmi Namaz Kay Liye Khada Hota Hai, Tou Rahmat-E-Elahi Es Ke Taraf Mutawajo Ho jati Hai.

Namaz Afzal Jihad Hai, Namaz Momin Ka Noor Hai.

Namaz Ka Martaba Deen mey Asia Hai jaisa Kay Sar Ka Martaba Badan per.

Jo Shaqs Tanhai Mey Dou Rakat Namaz Padhe, Jiskou Allaha Talha Aur Eskay Farishto Kay Seewaye Koi Naa Dekhe Tou Esko Aatishe-E-Jahanum Say Nijat Ka Parwana Mil Jaata Hai.


 Note: Namaz Ke Buzurgi Aur Fazilat aap kou Malum Hui, Yaad Rakhe Kay Namaz Allaha Talha Ke Raza Ka Sabbab Hai, Farishto Ke Nehayat Pyaari Chiz Hai, Tamaam Ambiya Ke Sunnat Hai, Duwa Qabool Hoti Hain, Rizq mey Barakat Hoti hai, Yeh Iman Ke Jadh Hai, Badan Ke Rahat Hai, Dushman Kay Muqable Mey Zabadast Hatyaar hai, Qabar Ka Chirag Aur Eske Waheshat Kou Dour Kerne Wali Hai, Munkir Nakeer Kay Saawal Jawab Yaad Delane Wali hai, Qayamat Kay Din Ke Dhoop Aur Sheedat Ke Garmi May Saaya Aur Thankdak Hogi, Andhere Mey Roshni, Jahanum Say Dour Kerne Wali Gour Karey Allaha Talha Hazrat Mohammed (P.b.u.h) Kou Namaz Kay Mutaliq Quran Mey Youn Hukum Deyte hai,

“Aur Apne Ghar Walo kou Namaz Ka Hukum Karo, Aur Es Per Qayam Raho” (Surey Taha Aayat # 132)
knight_panther
knight_panther
Moderator
Moderator

Number of posts : 588
Age : 35
Location : Lost iN DarK Side
Registration date : 2008-05-07

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum